Friday, November 18, 2011

Tu kisi aur ki jageer hai aye jan-e-ghazal



Tu kisi aur ki jageer hai aye jan-e-ghazal
log tufan utha dain gey mere sath na chal

pehle haq tha teri chahat ke chaman pe mera
pehle haq tha teri khushbo-e-badan pe mera

ab mera piyar tere piyar ka haqdar nahi
main tere gesu o rukhsar ka haqdar nahi

ab kisi aur ke shano pe hai tera anchal
log tufan utha dain ge mere sath na chal

main tere piyar se ghar apna basaon kese
main teri mang sitaron se sajon kese

meri kismat me nahi piyar ki khushbo shaid
mere hathon ki lakeeron me nahi tu shaid

apni taqdeer bana mera muqaddar na badal
log tufan utha dain ge mere sath na chal

mujh se kehti hain ye khamosh nigahen teri
meri parwaaz se unchi hian panahgahen teri

aur gheraat e ehsaas pe shaarminda hun
ab kisi aur ki bahon me hian bahain teri

ab kahan mera thikana hia, kahan tera mehel
log t ufaan utha dain ge mere sath na chal.

No comments:

Post a Comment