Sunday, October 30, 2016

Iss basti kay ik koochay main, Ik Insha naam ka dewanaa....!!

Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa,
Ik naar peh jaan ko haar gaya, Mashoor hai uska afsana.

Us naar mai aisa roop na tha, Jis roop se din ki dhoop dabbay,
Is sheher mai kia kia gori hai, Mehtaab rukhay, Gulnaar labay.

Kuch baat thi uski baaton mai , Kuch bhaid thay uske chitwan main,
Wohi bhaid keh jout jagatay hain , Kisi chahne wale k munh main.

Ussay apna bananay ki dhun mai, Hua aap hi aap se beganaa,
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewaana.

Na chanchal khail jawani kay, Na pyaar ki alhar ghaatain thin,
Bas rah mai unka milna tha , Ya phone peh unki baatain thin.

Is ishq peh hum bhi hanstay thay, Behasil sa , behasil tha,
Ik zor biphartay sagar mai, Na kashti thi , na sahil tha.

Jo baat thi un ke dil mai thi , Jo bhaid tha yaksar anjanaa,
Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.

Ik roz magar barkha rut mai, Wo sawan tha ya bhaadon tha,
Dewaar peh beech samandar ke, Yea dekhnay walon ne dekha.

Mastana hath mai hath deay , Wo aik kagar par bethay thay,
Yun sham huee, phir raat huee, Jab sailani ghar lout gaey.

Kia raat thi wo jee chahta tha , Us raat peh likhain afsana,
Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.

Haan umer ka sath nibhane kay, Thay ehad buhat pehmaan buhat,
Wo jin peh bharosa karne mai, Kuch sood nahi nuqsaan buhat.

Wo naar yea keh k dour huee, Majboori sajan majboori,
Yea wehshat se ranjoor huay , Aur ranjoori si ranjoori.

Us roz humay maloom hua , Us shakhs ka mushkil samjhana,
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewanaa.

Go aag se chhaati jalti thi, Go ankh se darya behta tha,
Har aik se dukh nahi kehta tha, Chhup rehta tha, Gham sehta tha.

Naadan hain wo jo chairtay hain, Is aalam mai dewanon ko,
Us shakhs se aik jawab mila, San apnon ko beganon ko.

Kuch aur kaho to sunta hun, Is baab mai kuch nahi farmanaa,
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewanaa.

Ab agay ki tehqeeq nahi, Go sun nay ko hum bhi suntay hain,
Us naar ki jo jo batain hain, Us naar kay jo jo qissay hain.

Ik shaam jo us ko bulwaya , Kuch samjhaya becharay ne,
Us raat yea qissa pak kia, Kuch kha hi lia dukhyaray ne.

Kia baat huee kis tour huee, Akhbaar se logon ne jana,
Iss basti kay ik koochay mai , Ik Insha naam ka dewanaa.

Har baat ki khoj theek nahi, Tum hum ko kahani kehnay do,
Us naar ka naam muqaam hai kia, Is baat ko parda rehnay do.

Hum se bhi soda mumkin hai, Hum se bhi jafa ho sakti hai,
Yea apna bayan ho sakta hai, Yea apni kathaa ho sakti hai.

Wo naar bhi akhir pachtaee, Kis kaam ka aisa pachtana,
Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.

No comments:

Post a Comment